Wednesday, March 18, 2009

ghalib ki shayyiri

kabhi neki bhi uss ke jee mein gar aa jaaye hai mujhse
jafaayen karke apni yaad, shrmaa jaaye hai mujhse
khudyaaya ! jazba-e-dil ki magar taseer ulti hai
ki jitna khinchta hun aur khinchta jaaye hai mujhse
vo badkhu[bad habit] aur meri dastan-e-ishq tulaani[long]
ibaarat mukhtasar[concise] qaasid bhi ghabra jaaye hai mujhse
udhar vo badgumani[suspicion] hai,idhar yeh naatvaani[weakness]hai
na poocha jaaye hai uss se, na bola jaaye hai mujhse
sambhalne de mujhe ae ! na-umeedi kya qayaamat hai
ki daaman-e-khyal-e-yaar choota jaaye hai mujhse
takalluf bartarf[suspend] nazaaragi mein bhi sahi, lekin
woh dekha jaaye kab ye zulm dekha jaaye hai mujhse
huye hai paanv hi pehle nabard-e-ishq[struggle in luv] mein zakhmi
na bhagaa jaaye hai mujhse, na thehra jaaye hai mujhse
qaymat hai ki howe mudai ka hum safar "ghalib"
vo kaafir, jo khuda ko bhi na saunpa jaaye hai mujhse

No comments:

Post a Comment

wel come