Monday, March 23, 2009

nizam rampuri ki shayyiri

angdai bhi voh lene na paaye utha ke haath
dekha jo mujhko, chhod diya muskura ke haath
be-saakhta nigahein jo aapas mein mil gayin
kya munh pe ussne rakh liye aankhein chura ke haath
qaasid tere bayaan se dil aisa thehar gaya
goya kisi ne rakh diya seene pe aa ke haath
kuuche se tere uthen toh phir jaayen hum kahaan
baithe hain yaan toh dono jahan se utha ke haath
dena voh usska saagar-e-mai yaad hai 'nizaam'
munh phaer kar udhar ko, idhar ko badha ke haath

No comments:

Post a Comment

wel come