Monday, March 23, 2009

parvin shakir ki shayyiri


Us ka mujh se bhi hai wesa hi saluk
Haal jo tera ana karti hai
Mas'ala jab bhi chiragon ka utha
Faisal sirf hawa karti hai
Daikh to kabhi aan ke chehra mera
Ik nazar bhi teri kaya karti hai
Ham ne dekhi hai wo ujli saa'at
Raat jab shair kaha karti hai
Khol kar band-e-qaba, gul ke, hawa
Aaj khushbu ko reha karti hai
dil ko us raah pe chalna he nahi
Jo mujhe tujh se juda karti hai
Dukh howa karta hai kuch or biyan
baat kuch or huwa karti hai

No comments:

Post a Comment

wel come