Monday, March 23, 2009

satpal khayal ki shayyiri

hamare dil ki mat poocho badi mushkil mein rehta hai
hamari jaan ka dushman hamare dil mein rehta hai
sukoon milta hai humko bas tumhare shehar mein
yahin vo noor sa chehra kahin mahmil mein rehta hai
koi shaaer bataata hai koi kehta hai pagal bhi
mera charcha hamesha aapki mehfil mein rehta hai
vo maalik hai sab usska hai vo har zarre mein hai gaafil
vahi daata mein milta hai vahi saael mein rehta hai
vo chutki mein hi karta hai tumhari mushkilen aasan
khuda ko chahne wala kabhi mushkil mein rehta hai !

No comments:

Post a Comment

wel come