Wednesday, July 29, 2009

ab ke barsaat ki ruut aur bhi bhadakili hai

ab ke barsaat ki ruut aur bhi bhadakili hai
jism se aag nikalti hai, qaba gili hai
sochta hun ke ab anjaam-e-safar kya hoga
log bhi kaanch ke hain, raah bhi patharili hai
shiddat-e-qarb mein toh hansna qarb hai mera
haath hi sakht hain zanjiir kahan Dhili hai
gard aankhon mein sahi daag toh chehre pe nahin
lafz dhundhale hain magar fikr toh chamakili hai
ghol deta hai sama'at mein vo mitha lahja
kis ko mallum ke ye qind bhi zaharili hai
pehle rag-rag se meri khuun nichoda ussne
ab ye kehta hai ke rangat hi meri pili hai
mujhko be-rang hi na kar de kahin rang itne
sabz mausam hai, hawa surkh, fiza nili hai
meri parwaz kisi ko nahin bhati toh na bhaaye
kya karun zehan 'muzaffar' mera jibarili hai

No comments:

Post a Comment

wel come