Thursday, November 27, 2008

jism tadpa hai khak par tanha
rooh karti rahi safar tanha
neend walon ko kya khabar isski
koun jaaga hai raat bhar tanha,
log soye thay bandh kamron mein
chaand bhatka hai dar_badar tanha
saath deta hai koun manzil tak
saath chalti hai raah_guzar tanha
shehar ka shehar bujhta jaata hai
ja raha tha woh apne ghar tanha
ae ! gham-e-zindgi ke raat ke chand
dhoond mujhko nagar nagar tanha
woh jo hansta tha haal-e-dil pe kabhi tanha
roa pada khud ko dekh kar tanha
bhool kar apne husn ke aadaab
mere dil mein kabhi utar tanha
yeh aaye hazaar shehar mujhe
jab bhi dekha koi khandar tanha
iss bhare shahar mein kabhi
anjman tha koi magar tanha...!!!

No comments:

Post a Comment

wel come