Wednesday, November 26, 2008

mere dard ki jo dawa kare
koi aesa shakhs huwa kare,
woh jo be-panaah udas ho
magar hijr ka na gila kare...........

meri chahtein, mere qurbatein
jise yaad aayein kadam kadam,
to sabse chhup ke libas-e-shab mein
lipat ke aah-o-buka kare........

barhe uska gam to karar kho de
woh mere gam ke khayal se,
utthein haath apne liye to
fir bhi mere liye dua kare.........

yeh kasas ajeeb-o-garib hain
yeh mohabbaton ke nasib hain,
mujhe kaise khud se juda kare
use kuchh batao ki kya kare........

kabhi tey kare yunhi soch soch mein
woh firaak ke faisle,
mere peeche aake dabe dabe
meri aankhein moond hansa kare........

bhala kaise apne hi aks ko
main rafeeq-e-jaan bana sakun,
koi aur ho to bata to de
koi hai kahin to sada kare........

use dhundati hain gali gali
meri khilwaton ki udasiyaan
woh mile to bas ye kahun ke aa
mera moulla tera bhala kare.....

No comments:

Post a Comment

wel come