Wednesday, September 16, 2009

meri aawargi

phirte hain kab se dar_ba_dar ab iss nagar ab uss nagar
ek dusre ke hamsafar main aur meri aawargi
na aashna har rahguzar na meharban hai ek nazar
jaayen toh ab jaayen kidhar main aur meri aawargi
ham bhi kabhi aabad thay aise kahan barbaad thay
bifikr thay aazad thay masruur thay dilshad thay
vo chaal aisi chal gaya ham bujh gaye dil jal gaya
nikle jala ke apna ghar main aur meri aawargi
vo mah-e-vash vo mah-e-ruuh vo mah-e-kaamil hu_ba_hu
thiin jiski baaten ku_ba_ku uss se azab thi guftgu
phir yun hua vo kho gayi aur mujhko zid si ho gayi
layenge ussko dhundh kar main aur meri aawargi
ye dil hi tha jo seh gaya vo baat aisi keh gaya
kehne ko phir kya reh gaya ashkon ka dariya beh gaya
jab keh kar vo dilbar gaya tere liye main marr gaya
rote hain ussko raat bhar main aur meri aawargi
ab gham uthaayen kis liye ye dil jalaayen kis liye
aansu bahayen kis liye yun jaan gavayen kis liye
pesha na ho jis ka sitam dhuundenge ab aisa sanam
honge kahin toh kaargar main aur meri aawargi
aasar hain sab khot ke imkaan hain sab chot ke
ghar bandh hain sab kot ke ab khatm hai sab totake
qismat ka sab ye khel hai andher hi andher hai
aise huye hain be_asar main aur meri aawargi
jab ham_dam-o-ham_raaz tha tab aur hi andaz tha
ab soz hai tab saaz tha ab sharm hai tab naaz tha
ab mujhse ho toh ho bhi kya hai saath vo toh vo bhi kya
ek behunar ek besabar main aur meri aawargi

1 comment:

  1. its i think the poem of the century.......geo Javed Akhtar

    ReplyDelete

wel come