Monday, June 29, 2009

Majaz ki shayyiri

kya tujhko khabar hai hum kya kya
ae shorishe dauran bhool gaye
veh zulfe pareshan bhool gaye
veh deed-e-giriyan bhool gaye
ae shauqe nazara kya kahiye
nazron mein koi surat hi nahi
ae zauke tasvvur kya kijiye
hum surate janan bhool gaye
ab gul se nazar milti hi nahin,
ab dil ki kali khilti hi nahin
ae fasa'le baharan rukhsat ho
hum lutfe baharan bhool gaye
sabka toh madava[illaz] kar daala
apni hi madava kar na sake
sabke toh gariban sii daale
apna hi gariban sii na sake
yeh apni waffa ka aalam hai
ab unnki zaffa ko kya kahiye
ik tashtare zehare aagiin[zehar mein bhujha hua khanjar] rakh kar
nazdeek rage jaan bhool gaye

No comments:

Post a Comment

wel come