Tuesday, June 30, 2009

manu be-takhallum ki shayyiri

tu jo sabse juda nahin hota
tujhpe dil aashna nahin hota
kaise hoti kalaam mein khushbu
dil agar phool sa nahin hota
meri bechaiin dhadkanon se bata
kab tera vasta nahin hota
khamoshi ke makam par kuch bhi
ankaha, ansuna nahin hota
aarzu aur dagmagati hai
jab tera aasra nahin hota
aazmaishein jot u nahin karta
imtehan ye kada nahi hota
ho khuda se bada wale insan
aadmi se bada nahin hota
zakhm dekhe hain har tarha bharkar
par koi fayda nahin hota
raah chalton ko raaz_dar na kar
kuch kisi ka pata nahin hota
jiska khana kharab tu kar de
usska phir kuch bura nahin hota
mai ko aise bakher mat zaahid
yun kisi ka bhala nahin hota
ik tarazu mein tol mat sabko
har koi ek sa nahin hota
mera sar dhoop se bachaane ko
ab vo aanchal rawa nahin hota
raat hoti hai din nikalta hai
aur toh kuch naya nahin hota
hum kahan, kab, kayaam kar baithen
hum ko aksar pata nahin hota
sochta hun ki kaash hawa ne
illam ka phal chakha nahin hota
mujh pe vo aitbaar kar leta
jo main itna khara[pure] nahin hota
hota kuch aur, teri raah pe jo
‘be-takahllum’ gaya nahin hota

No comments:

Post a Comment

wel come