Sunday, June 28, 2009

akbar ki shayyiri

dasht-e-gurbat hai, alaalat[bimari] bhi hai tanhai bhi
aur inn sab pe fazun baadiya paimai bhi
khwab-e-rahat hain kahan, neend bhi aati nahi ab
bas uchat jaane ko aayi jo kabhi aayi bhi
yaad hai mujhko vo be-fikri-o-aaghaz-e-shabab
sukhan aaraai bhi thi, anzuman aarai bhi
nigah-e-shauq-o-tamnna ki vo dilkash thi kamnd
jis se ho jaate thay ram aahu-e-sehrayi bhi
hum sanamkhana jahan karte thay apna qayam
phir khade hote thay vaan huur ke shaidai bhi
ab na vo umar na vo log, na vo lail-v-nahaar
bhujh gayi tabaa kabhi josh pe gar aayi bhi
kaam ki baat jo kehni hai vo keh lo 'akbar
dam mein chiinn jayegi ye taqat-e-goayi bhi

No comments:

Post a Comment

wel come