Sunday, June 28, 2009

Majaz ki shayyiri

kamal-e-ishq hai diwana ho gaya hun main
ye kis ke haath se daman chhuda raha hun main
tumhi toh ho jise kehti hai nakhuda duniya
bacha sako toh bacha lo ki duubta hun main
ye mere ishq ki majbooriyan ma'az[allah bachaye] allah
tumhara raz tumhin se chhupa raha hun main
iss ek hizab pa' sau behizabiyan sadke
jahan se chahta hun tum ko dekhta hun main
batane wale wahin par batate hain manzil
hazar baar jahan se guzar chuka hun main
kabhi ye zom ki tu mujhse chhip nahin sakta
kabhi ye veham ki khud bhi chipa hua hun main
mujhe sune na koi maste baadaye ishrat
'majaz' tuute huye dil ki ik sada hun main

No comments:

Post a Comment

wel come