Tuesday, June 30, 2009

devi naagrani ki shayyiri

shor dil mein macha nahin hota
gar usse kuch hua nahin hota
kaash ! vo bhi kabhi badal jaate
soch mein faasla nahin hota
kuch zamiin mein rahi kashish hogi
varna nabh yun jhuka nahin hota
jhooth ke paanv kyun thithakte gar
dekh sach, vo darra nahin hota
apna nuksaan yun na vo karta
taish mein aa gaya nahin hota
nazar-e-aatish na hoti basti yun
mera dil gar jala nahin hota
dar ‘devi’ ka jaanta kaise
gham ne usko chhua nahin hota

No comments:

Post a Comment

wel come