Sunday, June 28, 2009

meem meem mughal ki shayyiri

harchand tujhko daawa-e-fehm-o-zaka bhi hai
mujhse nazar milaaye zara hoslta bhi hai ?
shayad issi khayal se ithlaa rahe hain woh
mehfil mein unnki aaj koi dil jala bhi hai
mujh par hi kyun ataab tera hai mujhe bata
zulfon se teri khelti baad-e-saba bhi hai
jo dave_daar-r-dasht nawardi hai hum-nafas
kya usske paaye shauq mein ik aablah bhi hai ?
ye aur baat iss ki zulmat se saaz baaz
roshan khayal yun toh mera rehnuma bhi hai
kuch toh ye tarbiyat ha hai fuqdaan aur kuch
iss gumrahi-ka ek sabab ishtehaa bhi hai
pehli ki baat aur thi din thay bahar ke
ab masla jo phool ka hai khaar ka bhi hai
hum intzaar-e-aakhir-e-shab kis liye karen ?
paigham roshni ka toh ye jat'pata bhi hai
ye aarzi shakast hamaari hai dosto
ab iss ke baad na'rka-e-karbala bhi hai
main gulshan-e-bahaar ka vo phool hun mughal
khud baaghbaan jiska bahaar aashna bhi hai


1 comment:

  1. baRii muhabbat jnaab..
    aaj yoohnii kuch maraasly talaash kar rhaa thaa. yahaaN naZar therii..
    aap ki mhabbatoN ky liay sarapaa manaoon hooN

    meraa blog. www.naatiqa.blogspot.com hay
    kabhii tashriif laa'iay..gaa.
    wasslaam

    ReplyDelete

wel come