Tuesday, June 30, 2009

pawanendra pawan ki shayyiri

apna apna khuda nahin hota
khoon itna baha nahin hota
sun ke bhi ab toh har taraf cheenkhe
dard dil mein zara nahin hota
kaun karta suman-sa dil arpit
tu agar devta nahin hota
chal yakin karke humsafar ke saath
shaks har bewaffa nahin hota
aag jhulsa ke thhuthh chod gayi
ab ye jangal hara nahin hota
mozija hota hai magar suniye
mozija har dafa nahin hota
ye bhare pet kilbilata hai
bhookh mein falsfa nahin hota
dil jo loge toh dard bhi loge
dard dil se juda nahin hota
jo samjhta nahin khuda khud ko
aadmi gumshuda nahin hota
yaar ban sakta hai aduu bhi toh
kya zehar bhi dawa nahin hota
hote kaante na mann ki bagiya mein
dil agar phool sa nahin hota
ho gaye sab ko hum paraye ab
koi ab humse khaffa nahin hota
saath rehta hai jab talak vo ‘pawana’
mujhko mera pata nahin hota

No comments:

Post a Comment

wel come