Saturday, January 17, 2009

yeh zara zara si baat par tarah tarah ka azab kyun ?
jo kisi se bhi khaffa na ho, mujhe uss khuda ki talash hai
mujhe lagzishon par har ghadi, koi tokta hai baar baar
jise kar ke dil ko dukha na ho mujhe uss gunah ki talash hai
bina hamsafar ke kab talak, koi musafaton mein laga rahe
jahan koi kisi se juda na ho, mujhe uss raah ki talash hai
mujhe dekh kar jo ek nazar, mere saare dard samjh sake
jo iss qadar ho charagar, mujhe uss nigah ki talash hai

No comments:

Post a Comment

wel come