Sunday, January 18, 2009

ghalib ki shayyiri

dil-e-naadan tujhe hua kya hai ?
aakhir iss dard ki dawa kya hai ?
humko unnse waffa ki hai ummid
jo nahin jaante waffa kya hai
dil-e-naadan tujhe hua kya hai ?
aakhir iss dard ki dawa kya hai ?
hum hain mushtaaq aur vo bezaar
ya ilaahi ! ye maajra kya hai ?
jab ki tujh bin nahin koi maujood
fir ye hangaama, 'ei Khuda ! kya hai !
jaan tum par nisaar karta hun
main nahin jaanta dua kya hai

No comments:

Post a Comment

wel come