Saturday, January 17, 2009

ishq ki daastan hai pyaare
apni apni zuban hain pyaare
hum zamane se intqaam toh lein
ek haseen darmiyaan hai pyaare
toh nahin main hun, main nahin tu hai
ab kuch aisa gumaan hai pyaare
rakh kadam phoonk phoonk kar naadan
zarre zarre mein jaan hai pyaare

No comments:

Post a Comment

wel come