Sunday, January 18, 2009

noor ki shayyiri

aag hai pani hai mitti hai hawa hai mujh mein
aur phir maan'na padta hai ki khuda hai mujh mein
ab to le de ke wahi shakhsh bacha hai mujh mein
mujh ko mujh se juda kar ke jo chupa hai mujh mein
aaina ye to batata hai ki main kya hoon lekin
aaine is pe khamosh hai ki kya hai mujh mein
ab to bas jaan dene ki hai bari aye 'Noor'
Main kahan tak karoon sabit ki wafa hai mujh mein

No comments:

Post a Comment

wel come