Thursday, January 22, 2009

nizaam ki shayyiri

mausam-e-gam guzar na jaaye kahin
shab mein suraj nikal na aaye kahin
har ghadi dil mein hai ye andesha
koi anhoni ho na jaaye kahin
phir manaadi[announcement]hui hai basti mein
koi ghar chod kar na jaye kahin
ye naya darr hua safar mein mujhe
rasta khatm ho na jaye kahin
kya batoon vo kyun pareshan hai !
mujhko dhoondhe kahin ! chupaye kahin?
sapna sapna hai,khwab khusbho ka
jhonka jhonka bikhar na jaye kahin
duur hi rakho roshni se usse
apne saaye se darr na jaye kahin
baad mudat ke tu mila hai 'nizaam'
darr hai phir se bichad na jaye kahin

No comments:

Post a Comment

wel come