Saturday, January 17, 2009

kabhi zid mein tera ho gaya
kabhi dil ne tujhko ganwa diya
iss kasmakash mein jiya sanam
tune yaad rakha ya bhula diya ?

kabhi bebasi mein hi hass diya
kabhi hassi ne hi rula diya
kabhi phool se rahi berukhi
kabhi khaar se haath mila liya

kabhi ek ko pana na kar sake
kabhi khud ko sab ka bana liya
yunhi din guzar gaye pyar ke
yunhi khwab khud ko bana liya

jo mila nahi vo mera hua
jise kho diya usse pa liya
ye ajab khel hai pyar ke
ek khayal se hi nibha liya

No comments:

Post a Comment

wel come