Sunday, January 18, 2009

zamiin pe fasle-gul aai, falak pe mahtaab aaya
sabhi aaye magar koi na shaayan-e-shabab aaya
mera khat padhke bole naamabar se jaa khuda-hafiz
jawab aaaaaya meri kismat se lekin laazawab aaya
ujaale garmi-e-raftar ka hi saath dete hai
basera tha jahaan apna vahi tak aaftaab aaya
'shakeel' apne mazaaq-e-diid ki takmiil kya hoti
idhar nazro ne himmat ki udhar rukh par naqaab aaya

No comments:

Post a Comment

wel come