Sunday, January 18, 2009

dekhna hai vo mujh par meharbaan kitna hai
asliyaat kahan tak hai aur gumaan kitna hai
kya panaah deti hai aur ye zamiin mujhko
aur abhi mere sar par aasmaan kitna hai
kuch khabar nahin aati kis ravish pe hai toofan
aur kataa phtaa baaqi baadabaan[sail] kitna hai
tod phod karti hain roz khawishen dil mein
tang inn makaano se ye makaan kitna hai
kya uthaaye phirta hai baar-e-ashqui[weight] sar par
aur dekhane mein vo dhaan-paan kitna hai
harf-e-aarzu sun kar jaanchane laga yaani
iss mein baat kitni hai aur byaan kitna hai
phir udaas kar degi sarsarii jhalak uss ki
bhuul kar ye dil uss ko shaadamaan kitna hai

No comments:

Post a Comment

wel come