Sab kuch toh hai kya doondti rahti hai nighein
kya baat hai mein waqat se ghar kuon nahi jaata
woh ek hi chehra toh nahi saare jaha mein
jo door hai woh dil se utar kyon nahi jaata
mein apni he uljhee hoi rahoon ka tamasha
jaate hai jidhar sab mein udhar kuon nahi jaata
woh khwab jo barso se na chehra na badan hai
woh khwab hawaoon mein bhikar kyon nahi jata
benaam sa yeh dard thehar kuon nahi jata
jo beet gaya hai woh gujjar kuon nahi jata
No comments:
Post a Comment