Thursday, December 18, 2008

ae gam-e-jindgi kuch toh de masvara
ek taraf uss ka ghar ek taraf mahkada
dil ka dono se hai kuch na kuch vaasta
mein kahan jaoon hota nahi faisla
ek taraf uss ka ghar ek taraf mahkada
uss ke darr se utha toh kidhar jaaonga
mahkada chod doonga toh mein marr jaonga
sakhat muskil mein hoon kiya karoon ae khuda
ek taraf uss ka ghar ek taraf mahkada
jindgi ek hai aur talabgaar do
jaan akeli magar jaan ke haqdaar do
dil bataa pehle kis ka karoon mein haqq ada
ek taraf uss ka ghar ek taraf mahkada
iss taluq ko mein kaise todoon jafar
kisi ko apnao mein kis ko chodoon jafar
mera dono se rishta hai nazdeek ka
ek taraf uss ka ghar ek taraf mahkada

No comments:

Post a Comment

wel come