Sunday, December 21, 2008

bashir badr ki shayyiri

abhi iss taraf na nigah kar main gazal ki palken sanwaar loon
mera lafz lafz ho aaina tujhe aaine mein uttar loon
main tamam din ka thaka hua, tu tamam shab ka jaga hua
zara thehr ja issi mod par tere saath shaam guzar loon
agar aasman ki numayishon mein mujhe bhi izne kayaam[thehrav ka aadesh] ho
toh main motiyon ki dukaan se teri baaliyan tere haar loon
kai ajnabi teri rah ke mere paas se yun guzar gaye
jinhe dekh kar ye tadap hui tera naam le ke pukar loon

No comments:

Post a Comment

wel come