Monday, December 1, 2008

behaki hui hai chaal koi dekhta na ho
aisa hamara haal koi dekhta na ho
hum chahtay hai pyar tera dekh le duniya
yeh bhi hai par khayal koi dekhta na ho
kya tu na khud ko bhi thaa dikhane ko bekrar
tab koun hai ye sawaal koi dekhta na ho
dum bhar kanhi nazar uljh hi gayi toh kya
dil ko jara sambhal koi dekhta na ho
koun fool raha hai aap hi,apne mein tu 'Gulab'
jab tera yeh kamal koi dekhta na ho

No comments:

Post a Comment

wel come