Thursday, December 18, 2008

jab bhi poochon kaun hun main
aaina aks tera dikha deta hai
soch mein padh jaati hun main
kis ki aawaj kaun sada deta hai
khud rehta hai virano mein jaa ke
aur mujhko baharon ki dua deta hai
na jaane kya hai uss ke dil mein
kar ke daga duur se waffa deta hai

No comments:

Post a Comment

wel come