Monday, December 22, 2008

javed akhtar ki shayyiri

sach ye hai bekar hamen gam hota hai
jo chaha tha duniya mein kam hota hai

dhalta suraj, faila jungle, rasta guum

humse poocho kaisa aalam hota hai

ghairon ko kab fursat hai dukh dene ki

jab hota hai koi humdam hota hai

zakhm toh hum ne inn aankhon se dekhe hain

logon se sunte hain marham hota hai

zehan ki shakhon par ashaar aa jaate hain
jab teri yadon ka mosham hota hai

No comments:

Post a Comment

wel come