Thursday, December 18, 2008

"na jaane kon sa aasheb dil mein basta hai
ki jo bhi thahra vo akhir mukaam chod gaya
haath seene pe rakh ke na dikhao mujhko
mere toote hoye dil ki vo sada yaad karo
maine maana ki vafadaar nahi hun,lekin
tum kisi aur ko iss tarah barbaad na karo"

Hamare mehboob sankdo hai
Tumhare sheda hazaroon hongay
Na tum se sikva na hum pe sikva
Gila karoge ! gila karengay
Bura kahoogay ! bura kahengay

Meine maana ki vafadaar nahi hoon lekin
Tum kissi aur ko iss tarah barbaad na karo
Hamari shart-e-wafa yahi ha, wafa karoge ! wafa karenge
Hamara milna hai aisa milna mila karoge ! mila karenge

Hamara pina pilana kiya hai ?
Hamara pina pilana ye hai
Pilogay tum ! pilaengay hum
Piya karoge ! piya karenge

Ye poochna ki kiya khat likhoge ?
Ye pochnay ki nahi zaroorat
Tumhari marzi pe hai munhsar
Likha karoge ! likha karenge

No comments:

Post a Comment

wel come