behaki hoi hai chaal, koi dekhta na ho
aisa hamara haal,koi dekhta na ho
hum chahte hai ki pyar tera dekh le duniya
ye bhi hai par khayal koi dekhta na ho
kya tu na khud ko bhi tha dekhane ko bekraar
tab kyu hai ye sawaal,"koi dekhta na ho"
dam bhar kahi nazar jo ulajh hi gayi toh kya
dil ko zara sambhal,koi dekhta na ho
kyu phool raha hai aap hi apne mein tu "Gulab"
jab tera yeh kamaal koi dekhta na ho !
No comments:
Post a Comment