Friday, January 2, 2009

vada ker doon aur ker ke bhool jaoon
nahi kachha itna bhi vada apna.
yaad rakh loon per use nibha na paoon,
nahi kamjor hua itna irada apna.
aur hai vada nahi kuchh bhi kahoonga
bhale chehra hata, masum aur sada apna.
meri maut bhi bane khusi, taiyar hoon mai
bus khayal phir rakhna jara jyada apna.

No comments:

Post a Comment

wel come