muhabat kodiyon ke ho agar mol
bani adam na le yeh dard sar mol
azab daulat hai yeh ehsaan iss se
bashar[insan] ko bhi le leta hai bashar mol
yeh husn-e-yaar ne keemat badhai
na tha yusuf ka varna iss kadar mol
pasand dil hua hai husn-e-surat
falak beche toh le shams-0-kamar mol
bhrosa zindgani ka nahin kuch
kafan le rakh ae 'aatish' bashar mol
No comments:
Post a Comment