muhabat ka soz-e-nihan reh gaya
bujhi aag lekin dhuaan reh gaya
hui kam na taqdeer ki gardishen
zamin thak gayi aasman reh gaya
mera dil hai aur hum_nashinon ka sog
musaafir bas ek karvan reh gaya
ayaa tha koi sar-e-dasht-e-junoon
khuda jaane 'abid' kahan reh gaya
No comments:
Post a Comment