Monday, April 27, 2009

faraz ki shayyiri

apna hissa shumar karta tha
mujhse itna woh pyar kerta tha
vo banata tha meri tasveerem
unnse bataen hazaar karta tha
mera dukh bhi khuloos-e-niyat se
apna dukh he shumar karta tha
sach samajhta tha jhoot bhi mera
yun mera aitbaar karta tha
pehle rakhta tha phool raste mein
phir mera intazaar karta tha
aaj pehlu main woh nahi 'faraz'
jo mujhpe jaan nisaar karta tha

No comments:

Post a Comment

wel come