Sunday, May 31, 2009

ashufta changezi ki shayyiri

ye bhi nahi bimaar na thay
itane junoon aasaar na thay
logon ka kya zikr karen
hum bhi kam ayyar[cuning] na thay
ghar mein aur bohat kuch tha
sirf dar-o-deewar na thay
sab par hansna shevaah[natue] tha
jab tak khud uss paar na thay
teri khabar mil jaati thi
shahr mein jab akhbaar na thay
pehle bhi sab kuch milta tha
khwabon ke bazaar na thay
maut ki baaten pyari thi
marne ko tayyar na thay

No comments:

Post a Comment

wel come