Thursday, May 21, 2009

fariyaad toh kar sakta hun

tanhai mein fariyaad toh kar sakta hun
virane ko abaad toh kar sakta hun
jab chahun tumhen mil nahin sakta lekin
jab chahun tumhen yaad toh kar sakta hun


koi hasse toh tujhe gham lage hassi na lage
ke dillagi bhi tere dilko dillagi na lage
tu roz roya kare uthh ke chaand raaton mein
khuda kare tera mere bagaiir jii na lage

achchi surat ko sawarne ki zaroorat kya hai
sadgi mein bhi qaymat ki ada hoti hai
tum jo aa jaate ho masjid mein ada karne namaz
tumko mallom hai kitnon ki qaza hoti hai

ye jo diwane se do-char nazar aate hain
inn mein kuch saahib-e-asraar nazar aate hain
teri mehfil ka bharm rakhte hain so jaate hain
varna ye log toh bedaar nazar aate hain

mere daaman mein toh kaanton ke siva kuch bhi nahin
aap phoolon ke kharidaar nazar aate hain
hashr mein kaun gawahi meri dega 'sagar'
sab tumhare hi taraf-daar nazar aate hain

qaid payaam-e-khat ko dena bohat na tuul
bas mukhtasar ye kehna ke ankhen taras gayi hain
kehna ghalat ghalat toh chupana sahi sahi
qasid kaha jo ussne batana sahi sahi

ye subah subah chehre ki ranget uddi hui
kal raat tum kahan thay batana sahi sahi
maine pucha ke kal shab kahan thay
pehle sharmaye phir hass ke bole
bat kyun tum aisi puchte ho
jo batane ke qabil nahin hai

ye uddi uddi si rangat, ye khule khule se gesu
teri subah keh rahi hai teri raat ka fasana
na hum samjhen na tum aaye kahin se
pasiina pohnchiye apni jabeen se

dil leke mera haath mein kehte hain mujhse woh
kya loge isske daam batana sahi sahi

ankhen milaao ghaiir se toh hum ko jaam-e-mai
saaqi tumhen qasam hai pilana sahi sahi

nasha pila kar girana sabko aata hai
maza toh tab hai jab girte ko tham le saaqi

nasha imaan hota hai surahi deen hoti hai
jawani ki ibadat kis qadar rangiin hoti hai

sharab-e-naab ko do aatisha bana kar pila
jo sharab kam hai toh saaqi nazar mila kar pila

shrab ko koi apna sarih-e-rang nahin
sharab tajzia-e-ehtesaab kaarti hai
jo ahl-e-dil hain badhaati hai aabru unnki
jo be-sharoor hain unnko khraab karti hai

No comments:

Post a Comment

wel come