Sunday, May 31, 2009

Majaz ki shayyiri

kamaal-e-ishq hai deewana ho gaya hun main
ye kis ke haath se daaman chuda raha hun main
tumhin toh ho jise kehti hai na_khuda duniya
bacha sako toh bacha lo ki dubata hun main
ye mere ishq ki majburiyan ma'az_allah
tumhara raaz tumhin se chhupa raha hun main
iss ik hijaab pe sau be_hijaabiyan sadaqe
jahaan se chahta hun tumko dekhta hun main
batane wale vahin par batate hain manzil
hazaar baar jahan se guzar chuka hun main
kabhi ye zaum ki tu mujhse chhup nahin sakta
kabhi ye veham ki khud bhi chhupa hua hun main
mujhe sune na koi mast-e-baadaa-e-ishrat
'majaz' tuute huye dil ki ik sada hun main

No comments:

Post a Comment

wel come