Sunday, May 31, 2009

unknown

apni marzi se kahan apne safar ke hum hain
rukh hawaon ka jidhar ka hai, udhar ke hum hai
pehle har cheez thi apni, magar ab lagta hai
apne hi ghar mein kisi dosre ghar ke hum hain
waqt ke saath hai mitti ka safar sadiyon tak
kisko mallum kahan ke hain, kidhar ke hum hain ?
chalte rehte hain ke chalna hai musafir ka naseeb
sochte rehte hain ki kis rah_guzar ke hum hain
gintiyon mein hi gine jaate hain har daur mein hum
har qalam_kaar ki benaam khabar ke hum hain

No comments:

Post a Comment

wel come