Sunday, May 31, 2009

unknown

naya ek rishta kyu paida kare, hum bichadna hai toh jhagda kyu kare
hum khamoshi se ada ho rasm-e-doori koi hangama barpa kyu kare
hum yeh kaafi hai ke hum dushman nahi hai wafadari ka dava kyu kare
humwafa, ikhlaas, qurbanni, muhabat ab in lafzo ka peecha kyu kare
hum suna de asmat-e-maryam ka kisaah? ab is baab ko wa kyu kare
hum zulekha se azizaan baat yeh hai bhala ghaate ka sauda kyu kare
hum hamari hi tamanna kyu karo tum tumhari hi tamanna kyu kare
hum kya tha ahad jab lamho mein humne toh saari umar aifa kyu kare
hum utha kar kyu na phenke saari cheeze fakat kamron mein thala kyu kare
hum jo ek nasal far-o-maya ko pohnche woh sarmaya ek khatta kyu kare
hum nahi duniya ko jab parwa hamari toh phir duniya ki parwa kyu kare
hum barharana hai sar-e-bazaar toh kya bhala andhoun se parda kyu kare
hum hai baashinde iss hi basti ke hum bhi so khud par bhi bharosa kyu kare hum chaba kein kyu na khud hi apna dhaancha tumhe raatib muhayeeya kyu kare
hum padi rehne do insaano ki laashien zamin ka bhojh halka kyu kare

No comments:

Post a Comment

wel come