Sunday, May 31, 2009

unknown

har ek haraf-e-aarzuko dastan kiye huye
zamana ho gaya hai unko mehmaan kiye huye
suroor-e-aish talkhi-e-hayat ne bhula diya
dil-e-hazeen hai bekasi ko hizr-e-jaan kiye huye
kali kali ko gulshan kiye huye vo aayenge
vo aayenge kali kali ko gulshan kiye huye
sukoon-e-dil raahton ko unnse maang lun
sukoon-e-dil ki raahton ko bekraar kiye huye
vo aayenge toh aayenge junoon-e-shauq ubhaarne
vo jaayenge toh jaayenge tabaahiyan kiye huye
main unnki bhi nigah se chhupa ke unnko dekh lun
ki unnse bhi hai aaj rashk bad_gumaan kiye huye

No comments:

Post a Comment

wel come