Monday, June 15, 2009

baazuddin baaz ki shayyiri

muzriim hun tera aa mujhe jo chahe saza de
iss dil mein muhbbat ki sanam aag laga de
jazbaat ka dil mein koi tufan utha ke
kehte hain jise pyar zamane ko dikha de
duniya se kabhi pyar ka shikwa na karunga
le haath mein khanjar meri gardan ko udda de
inn mast nigaahon se sar-e-sham pila kar
diwane ko kuch aur hi diwana bana de
ab pyar ki iss raah se kaanton ko hata kar
dushman ko jalane ke liye phuul bichha de
ab husn-e-tajalli se jale 'baaz' hai tera
rukhsar pe apne zara parde ko gira de

No comments:

Post a Comment

wel come