Monday, June 15, 2009

baqi siddiqui ki shayyiri

aayi na phir nazar kahin jaane kidhar gayi
unn tak toh saath gardish-e-sham-o-sahar[passage of time] gayi
kuch itna be_sabat[momentary] tha har jalwa-e-hayat
laut aayi zakhm kha ke jidhar bhi nazar gayi
aa dekh mujhse ruuthane wale tere bagaiir
din bhi guzar gaya meri shab bhi guzar gayi
naadim hai apne apne qariinon pe har nazar
duniya lahu uchchhal ke kitani nikhar gayi

No comments:

Post a Comment

wel come