Thursday, June 4, 2009

bashar nawaz ki shayyiri

karoge yaad toh har baat yaad aayegi
guzarte waqt ki har mauj thehar jayegi
ye chand beete zamanon ka aaina hoga
bhatakti abr mein chehra koi bana hoga
udaas raah koi daastaan sunayegi
barasta bheegta mausam dhuan-dhuan hoga
pighalti shammon pe dil ka mere gumaan hoga
hatheliyon ki heena yaad kuchh dilayegi
gali ke modd pe soona sa koi darwaaza
tarasti aankhon se rasta kisi ka dekhega
nigaah door talak jaa ke laut aayegi

1 comment:

  1. One of the Best shayars but always shy of publicity. At the age of 19 he read out his shayari like,"Ye charagaha ye intezamat baja sahi lekin,sahar tau ho nhi sakti diye jalane se"

    ReplyDelete

wel come