Wednesday, June 10, 2009

daag dehlvi ki shayyiri

phir shab-e-gham ne mujhe shaql dikhayi kyunkar
ye bala ghar se nikali hui aayi kyunkar
tune ki gair se meri burayi kyunkar,
gar na thi dil mein toh lab par tere aayi kyunkar,
tum dilazar-o-sitamgar nahi maine maana
maan jayegi isse saari khudayi kyunkar
aaina dekhke wo kehne lage aap hi aap
aise achhon ki kare koi burayi kyunkar
Kasrar-e-ranj-o-alam sunke ye ilzam mila
itne se dil mein hai itno ki samayi kyunkar
'daag' kal tak toh duwa aapki maqbool na thi,
aaj munh maangi murad aapne paayi kyunkar...

No comments:

Post a Comment

wel come