Monday, June 15, 2009

ehsaan danish ki shayyiri

nazar fareb-e-kaza[illusion of death] kha gayi toh kya hoga
hayat maut se takra gayi toh kya hoga
nayi sahar ke bahut log muntazir hain magar
nayi sahar bhi kajala gayi toh kya hoga
na rah_numaon ki majalis mein le chalo mujhko
main be-adab hun hansi aa gayi toh kya hoga
gham-e-hayat se be_shaq hai khud_kushi aasan
magar jo maut bhi sharma gayi toh kya hoga
shabab-e-laala[beauty of flowers]-o-gul ko pukarane waalon
khizan-sirisht bahar aa gayi toh kya hoga
ye fikr kar ki iss aasudgi[contentment] ke dhoke mein
terii Khudii ko bhii maut aa gayi toh kya hoga
khushi chinii hai toh gham ka bhi aitamaad na kar
jo ruuh gham se bhi ukta gayi toh kya hoga

No comments:

Post a Comment

wel come