Sunday, June 28, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

phir harif-e-bahar[dushman] ho baithe
jaane kis kis ko aaj roa baithe
thi, magar itni rayegaan[bekaar] bhi na thi
aaj kuch zindgi se kho baithe
tere dar tak pauhnch ke laut aaye
ishq ki aabru duubo baithe
saari duniya se door ho jaaye
jo zara tere paas ho baithe
na gayi teri berukhi na gayi
hum teri aarzu bhi kho gaye
‘faiz’ hota rahe jo hona hai
shair likhte raha karo baithe

No comments:

Post a Comment

wel come