Sunday, June 28, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

hasrat-e-deed mein guzra hai zamane kab se
dasht-e-ummid mein garda[khaak chan’na] hai diwane kab se
der se aankh pe utra nahin ashqon ka azaab
apne zimmay hai tera qarz na jaane kab se
kis tarah paak ho be-aarzu lamhon ka hisab
dard aaya nahin darbaar sajane kab se
puur karo jam ki shayad ho issi lehza rawa’an
rok rakha hai jo ik teer qaza ne kab se
‘faiz’ phir kab kisi maqtal[qatl hone ki jagah] ko karenge abaad
lab pe viraan hai shahidon ke fasane kab se

No comments:

Post a Comment

wel come