Friday, June 12, 2009

faiz ahmed faiz ki shayyiri

sach hai hamin ko aap ke shikave baja na thay
beshak sitam janaab ke sab dostana thay
haan jo jaffa bhi aap ne ki qaayede se ki
haan ham hi kaaraaband-e-usuul-e-vaffa na thay
aaye toh yun toh ke jaise hamesha ke meharban
bhuule toh yun ke goya kabhi aashana na thay
kyun daad-e-gham ham ne talab ki, bura kiya
ham se jahan mein kushta-e-gham aur kya na thay
gar fikr-e-zakhm ki toh khatavar hain ke ham
kyun mahv-e-madh-e-khuubi-e-teg-e-ada na thay
har charagar ko charagari se gurez tha
varna hamen jo dukh thay bahut ladava[incurable] na thay
lab par hai talkhi-e-mai-e-ayyaam varna "faiz"
ham talkhi-e-kalaam par maayil zara na thay

No comments:

Post a Comment

wel come