Tuesday, June 16, 2009

ganesh bihari tarz ki shayyiri

mujhe de ke mai mere saaqiya meri tishnagi ko hawa na de
meri pyas par bhi toh kar nazar mujhe maikashi ki saza na de
mera saath ae mere ham_safar nahin chahta hai toh jaam de
magar iss tarah sar-e-rah_guzar mujhe har qadam pe sada na de
mera gham na kar mere charagar teri charaajo_i baja magar
mera dard hai meri zindgi mujhe dard-e-dil ki dawa na de
main vahan hun ab mere naaseha ki jahan khushi ki guzar nahin
mera gham hadon se guzar gaya mujhe ab khushi ki dua na de
vo giraayen shauq se bijaliyaan ye sitam karam hain sitam nahin
ke vo 'tarz' barq-e-jaffa nahin jo chamak ke nuur-e-vaffa na de

No comments:

Post a Comment

wel come